Balgham Ki Tabeer
Khwab mein Balgham dekhna na bharne wala maal-e-majmoaa par dalalat krta hai.
Agar dekhe k apna Balgham phenk diya hai to ye maali qushadgi ki ilamat hai aur mareez k lye shifa ki daleel hai.
Khawab mein khansna mushkil me maal kharch krne ki taraf ishara hai aur sahib ilam k lye ilam k mamly me bakhal ki daleel hai.
Khwab mein monh se baal ya dhaga ya kharwa pani wagera ka nikalna sahib khwab k kheyanat par brqarar rehne ki ilamat hai.
Baz ulma-e-tabeer ne kaha hai k khawab mein kisi alim k monh se pani nikalne ki tabeer is k aese waaz se ki jati hai jis se logon ko faida ho. Agar yehe khwab koi tajir dekhe to is k sachy hone ki ilamat hai.
No comments:
Post a Comment